Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadim Balkhi

  • Ghazal


Aks to laakhoN aaye nazar seemab sifat aainay me


Aks to laakhoN aaye nazar seemab sifat aainay me
Dekh na paaye apna chehra gahri jheel ke seenay me

Kheench ke langar tohmat kyu sailaab ke sar tum dharte ho
Rabt kahaN rakha hai baaqi sahil aur safeenay me

Baith gaye to Khoob samajh lo Ghor se dekho baKhiyN ko
Chaak bahot tha lamba Chaura, waqt lagega seenay me

Rang nahi anmol banata, Qeemat Aab ki moti hai
Farq nahi hai warna kuchh bhi pathhar aur nagenay me

Pyas bujha lo chalte chalte door bahot hi jana hai
Chah mile to bhar lo pani, lutf milega peenay me

Sath tumhare roz o shab ki rut bhi badli badli hai
Khatm huwa JaRay ka mosam, chain kahaN pashmeenay me
 

Zauq e safar, P 28

Leave a comment

+